Tuesday, January 31, 2006

Un censored me ..

Bahut dino baad post likh raha hoon .. wo bhi hindi mein ..
and that too uncensored.

Aaj apun ko bhi purane din yaad aagaye .. 5 saal se firangi kampani ke liye kaam (???) karte karte .. desi panti kahin kho gayee thi .. dimag DD1 se Star World ho gaya tha .. Aaj khain se bhoole bisre geet ubhar aaye aur apna dimag wapas flash back mein challa gaya ..

kya dinn the yaar wo .. sunday ki 5:30 picturee ( movie yaar) ... uske pahle wala nirma ka ad ( which did not change for 19 yrs) . 7:30 ki chaupaal .. 8 baje ka chitrahaar ... wah kya din the ..

shaam ko galli ka criket peeche wali gali ko kudiyoon ko impress karne ki faltu ki koshish .. wah wah

khair abhi shaadi ho gayee , career , naukri , package , in sab mein pata nahin originality kahan kho gayee... Barista ki lights mein thaddee kahan rah gayee pata hi nahin chala .. 80 rs ki cofee mein 1.50 ki cutting ka taste nahi hai ..

Shankar ke samose aaj bhi patties or burgers se jyada tasty lagte hai ..

iskeliye apun decide kiya hai . ke apun ka majority post abb desi hi hoga ..


aap sabhi log kya bolte ho .. jaldi se iska reply karo .. fir main sochta hoo..

desi ya firangee..

Sachin

9 comments:

The Bhandari's said...

Hmm I always liked the way u are...

App hindi mein likho yah firangee bhashaa mein I'll appreciate but keep writing and yes I request u to continue your poetry too.

Mujhay kavita karnee nahin aatee and shayad mein itna appreciate nahin kar paatee but I would always love to see the poet inside you coming out with all your thoughts..

hmm reh gayee mein to I'll keep posting in khichdi language the way I am...

Okie kya mainay pardhaa....."kudiyoon ko impress karne ki faltu ki koshish " ....(making faces) kaoun hai woh sab ...I think I need to see them all in Kishengarh and Jaipur..

~preeti

Emotions said...

Sachin ji post likhne se ya phir bhasha badlne se koi farak nahi padta....agar kisi baat se farak padta hai to vo yeh ki aap apne dil mein kisko jagah dete hain-desi ko ya firangee ko...
Are desi ho to apne desh apni INDIA ko dil mein lekar ghumo...phir dhekho firnagee bhi desi banjyenge...nyways nice post....

all d bst !!
keep writing n keep smiling :-)

Perestroika said...

bahot aachha likha hein!

(my hindi not very good)

Ashish Gupta said...

:) :)

Anonymous said...

desi esstyl changga hai

Preeti said...

hey sachin, tumhara hindi padh kar achha laga rey... :-)
mujhe bhi yaad hai mere pichle din jub mein bachhi thi.. mujhe yaad hai... sunday ko ek hi cartoon show hota tha.. yaad hai? SPIDERMAN?
bahut miss karti hoon mein woh din ... doston ke saath khelna... ladna jhagadna...

Fursat said...

mast post hai..sachi..kya likha hai aapne..

cutting chai ka competition to koi nahi kar sakta :) i love adrak wali chai :)

aur woh nirma ki ad aur chitrahar to i miss so much :D

nice post sachin !!!

cheers

Anonymous said...

I have been looking for sites like this for a long time. Thank you! kitchen aid pasta home business opportunities Golf rockport indiana Boland yasmin astrology Wellbutrin zoloft syndrome dining kitchen organization product storage Combattre la cellulite a la maison payday loans Membership affiliate software free Krople zyrtec Pet car seat cover car cheap insurance http://www.digital-camcorders-5.info/Vacationsorlando-time-share.html Kitchen pedestal table Download big porn movies

Anonymous said...

That's a great story. Waiting for more. Engine internet marketing search using Deep sea fishing lures teaching alphabets online